(**longitude and latitude examples are approximate and not exact)
Socho ki hum dono 75 degree longitude pe ek doosre ki taraf face karke khade hain aur ball se catchcatch khel rahein hain
Lekin main 0 degree equator pe khada hoon Maldives mein, aur tum 30 degree north pe khadi ho
Chandigarh mein
Ab equatorial circumference of earth = 40,000 km
And earth moves one rotation in 24 hours, (west to east)
Yani meri speed eastwards hai = 40,0000/24 = 1650 km/hr
Aur aur 30 degree north pe earth ka circumference hoga = cos 30 x 40,000= 0.866 x 40,000 = 34,640 km
(as you can see in above picture, the 30 degree latitude will be shorter than 0 degree latitude) matlab tumhari eastwards hogi = 34640/24 = 1450 km/hr
matlab RELATIVELY to you i am moving eastwards at 200km/hr
aur yaad rakho, newton ke second law ke according jab hum ball fekenge tab hamari eastward speed bhi baal mein transfer ho jayegi
P.T.O.
ab tum meri taraf dekhte hue mujhe ball fenko since i am moving relatively eastwards from you, ball mujhe nahi milegi, Africa ki taraf jake giregi from a top view perspective BALL HAS DEFLECTED TOWARDS RIGHT.
P.T.O.
Jab main tumhe ball fekunga, ball fir tumhe nahi milegi, meri extra eastward velocity ke karan china mein jake giregi
Again from a top view perspective BALL HAS DEFLECTED TOWARDS RIGHT.
Moral: northern hemisphere mein coriolis force RIGHT ki taraf deflect karti hai. Opposite happens in southern hemisphere.
Upar ke dono examples mein ball deflect nahi kahi kar rahi hai, wo to straight hi travel kar rahi hai.
Wo to meri aur tumhari non-constant postion in space with respect to each other hai jo deflection ka ehsaas de rahi hai.