SEEN – 1
(Ye kahani shuru hoti hai C.I.D. beuro se, jahaan DAYA, ABHIJEET, VIVEK, SHASHA sabhi apne apne kaam me lage huye hai. Tabhi FEDRICS ek nayee shirt pehan kar aata hai)
VIVEK – wah sir, aaj to aap bahut handsum lag rahe hai.
ABHIJEET – haan, FEDRICS ye shirt to tum pe bahut achchi lag rahi hai. Nayee li hai kya?
FEDRICS – achcha lag raha hai na, sir ye shirt mujhe meri wife ne gift kiya hai.
DAYA – kya? Ye shirt tumhe bhabhi ji ne gift kiya hai. Ye achanak unhe kya ho gaya jo tumhe ye shirt gift kar dali.
FEDRICS – kya matlab sir, meri wife kya mujhe koi gift nahi de sakti. Mai kya kisi se kum hoo.
A.C.P. – are nahi FEDRICS, tumhe kisne kaha ki tum kisi se kum ho. DAYA, ABHIJEET tum sab kyun hardum ise pareshan karte rehte ho?
DAYA – are nahi sir hum to bus itna puch rahe the ki aaj akhir bhabhi ji ne FEDRICS ko ye shirt kis khusi me gift kar di.
A.C.P. – Haan FEDRICS, jahaan tak mujhe yaad hai aaj na to tumhari marrige anniversary hai, na hi tumhara birthday hai, or na hi valantine day hai, to phir ye shirt.
FEDRICS – sir aap bhi in logo ke saath mil gaye. Kya meri wife mujhe bina kisi occasion ke koi gift nahi de sakti.
A.C.P. – are FEDRICS tum to naraz ho gaye. Main to is liye puch raha tha ki aise to tumhari wife tumse ghar ke saare kaam karwati hai. Baat baat per tumhe ghar se bahar nikal dene ki dhamki deti hai. Phir aise bina kisi wazah ke aaj tumhe ye gift dena, sochne ki baat hai.
FEDRICS – sir aap bhi............., sir, ye mat bhuliye ki yahaan bas meri hi shadi huyee hai. Warna kitne logo ki love story to abhi tak beech line me hi ataki hai.
DAYA – FREDI, ye tumhara ishara kis taarf hai?
FEDRICS – wo.... kisi ki taraf nahi sir.
A.C.P. – ho gaya.... ab kuch kaam kar liya jaaye.
VIVEK – kya kaam kare sir, aaj to koi case hi nahi hai.
SHASHA – sir, lagata hai aaj apradhiyo ne chutti le rakhi hai.
FEDRICS - apradhiyo ne chutti le rakhi hai..... to sir hum kya karenge.