We are experiencing some unexpected downtime and are working to fix the problem. We're sorry for any inconvenience.
Essay in hindi on true friendship?
9 months ago
Best Answer - Chosen by Voters
Hindi mein ek kahawat hai ki- sachcha dost wahi hota hai jo mushkil mein kaam aaye. isliye, jo mushkil samay par aapka saath na de, woh sachcha dost nahin ho sakta. hamare jeevan mein ek dost ki bahut zaroorat hoti hai. meri bhi kai ladke ladkiyon se dosti hai. dosti karte samay na hum uske dharm ko dekhte hain, na uske paise ko aur na hi uske rang ko, hum dosti isliye karte hain kyonki uske vichaar hamare vicharon se mel khate hain. isliye ki woh mere mushkil samay par mere kaam aaya, aur isliye ki mujhe laga ki woh meri dosti ke layak hai. dosti hamesha uske saath karni chahiye, jiske vichar oonche hon, jo jeevan ka mahatva samajhta ho aur hamen jeevan ko sahi dhang se jeene ka tareeqa batata ho. ek dost ka hamare jeevan par bahut gahra prabhav padta hai. yadi hamne dost chunne mein ghalti ki, to woh hamare jeevan mein nakaratmak byaktitva la sakta hai, aur yeh bhi ho sakta hai ki bhavishya mein usse hamein haani pahunche. isliye ek dost chunne se pahle hamein in sab baton ka dhyan rakhna chahiye, tabhi woh hamari sachchi dosti ki parwah karega aur hamein bhi uske roop mein ek sachcha dost mil jayega.
Source(s):
it is my own essay written on the spot, i am a tutor who provides online and offline tuitions. for more details, do visit my website http://www.textbookexplained.com
9 months ago
100% 1 Vote
2 people rated this as good stars - mark this as Interesting!
Comment (0)
Save
Add to My Yahoo!
Add to Del.icio.us
RSS
किसी भी इन्सान के जीवन में एक दोस्त की बहुत महत्वपूर्ण भूमिका होती हैं ! दोस्त वह जो इन्सान के किसी भी रिश्ते पर भारी पड़ सकता है ! माता-पिता का रिश्ता हो , भाई-बहन का रिश्ता हो या हो पति-पत्नि का रिश्ता ! कई बार यह देखा गया है कि एक सच्चे