Mein (Your Name) is Shikshak Divas jaise Vishesh Din mein aap sabka swagat karthi hoon..
Hum har saal 5 Sithambar ko shikshakon ko vishesh sammaan dene ke liye shikshak divas ka aayojan karthe hain..
Yeh Samaj ek Bade parivar Jaise hai.. Is parivar mein kayi Dharma aur kayi Jaat-paat ke log rehte hain.. Is samaj ko samaj banaye rakhne ka mahatvapoorna kaam karthe hai Samaj ke Shilpakar yaani Shikshak.. Shikshak Samaj ke aise shilpakar hain jo bina kisi moh ke is samaj ko Sajathe hain.. Aise Shikshakon ko Sahi Sthan Dilane Ke liye hum hamare Bharath mein hi nahi poore duniya Shikshak Din manathe hain..
Har saal hum Bharatwaasi 5 Sithambar ko hi Shikshak Din kyun manathe hai??
Bharat ke Purva Rashtrapathi Dr. Sarvapalli Radhakrishnan ke Janam Din ko hi Bharat ke shikshak divas ke roop mein manaya jaata hai.. Unke Janam din ko Shikshak Divas Manakar Hum sab bharath vaasi Dr.Radhakrishna ke prathi samman vyakt karthe hain..
Is Vishesh Din mein, main Dr. Sarvapalli Radhakrishna Ji ke Sammaan karte huye kuch shabd bolna chahti/chahta hoon..
You May Like: �Best Teachers Day Speech For Students, Speech On Teachers Day
Dr. Sarvapalli Radhakrishna Ji Swatantra Bharat ke Dusre Rashtrpathi hai.. Unka Janma 5 (Paanch) Sithambar 1888 (Attra Sau Atthasi) ko Tamilnadu ke ek pavitra Thirtha Sthal �Tiruthani� gram mein hua tha.. Inke Pitha Sarvapalli Veeraswamy ek Garib kintu Vidhvan Brahmman they.. Kayin Jimmedhaariyon ke kaaran Radhakrishna ji ko bachpan mein kaafi kathinaayion ka saamna karna pada.. Inke Pitha ek Dhaarmik Vicharon wale insaan they phir bhi unhone Radhakrishna ji ko Ek Christian missionary school, Tirupathi mein padne ke liye Dhaakal kiye they.. Iske Baad vah Tamilnadu ke Vellore aur Madras College mein apna shikshan pure kiye they.. Vah shuru se hi ek medhavi chaatra rahe they..
Radhakrishnaji ke yogyatha ko dekhte huye Unhe Saunvidhaan Nirrmaathri (??????? ??????????) Sabha ka sadasya banaya gaya tha.. Isi beech unhe Khyathi Praapt